Dil ki baatein

Na aankhon mein needein hai na dil ko sukun…Na koi khwab saza hai na baki koi aarzoo…Dil ko v dharkan ki awaz sunayi nhi de rhi…pta nhi kyu sanson ki dor tutne ko hai bekarar…Dil chahta hai shor machaye ankhein brash k hai sukh chuki..
Koi arman zinda rah na jaye baki har aarzoo tuti samete baithe hai…Dil inn hawaon k sath udr jane ko tyar baitha hai…jane kis uljhan ne  hume bandh rkha hai…

Puch k dekh..

Ghutan kya hota h wo hmse puch k dekh ….sbke sath hote akelapan kya hota h hmse puch k dekh…
Tanha raaton m  akele batein krna or trpna kya hota h hmse puch k dekh…jab koi aapke paas ho k achnak apko tanha kr de wo lamha kya hota h hmse puch k dekh..
Roj akele jina kya hota h hmse puch k dekh..
dard mein v hasna kya hota h hmse puch k dekh..
Jab dil m or dimag m jang chli ho ki wo insan sacha h ya jhuta uss pal m marna kya hota h hmse puch k deKh….puch to btaynge khud ko roj taslli dena kya hota h hm btaynge…
Kisi p haq rkh k haq k liye trsna kya hota h puch k dekh..ek hi janam m bar bar marna kya hota h hmse puch k dekh..
Har roj marne ki dua mangne par maut na aaye to jee k kaisa lagta h hmse puch k dekh..

Humsafar

Ab ye safar aapke bina nhi katna…
Han pta hai mujhe kuch waqt or lgega humare iss rishte ko par ab ye sath nhi chorna mujhko..
Jamane se dar k ab apni jindagi yoon nhi bitani mujhko..Kyuki aapke siwa ab koi nhi jamane m ..
Bus jabse aapne hath thama hai ek nayi jindagi nayi khushiyon ka sapna dekha hai inn aankhon ne…
Bus khuda se yhi ek dua hai meri,jab tak aapka sath ho bs tab tk zindagi ho….

Yad..

Ki mat kar ae dil yaad unhe..
Wo apne sapne bnane m masruff hai..
Ki jamane m chlna khin prega akela…
Unhe jamane ke sath chlna pasand hai..
Teri kadar v hogi unhe jab tu mitti m dafan hoga…
Av wo bulandiyon p phunchne m mashruff hai..

Dil saham jata h..

Pta nhi kyu par dil saham sa rha hai..
Tujhse ye duri ab dil ko bechain krta hai..
Jab se aap meri zindagi me aaye ho ….
Ruh ko sukun sa mil gya hai…
Koi humse aapko chura na le jaye…
Aapko humse bus yhi khyal tarpata hai…
Aapko pane se zindagi m khushiyan aayi h meri…
Ab isse sbse chipa k rkhun ye mumkin nhi lgta hume..
Aap sath ho har pal mere bus yhi sukun milta h..
Bhale hi ek sahar me na ho sath par dil to ek sath dharkta hai..

Teri mohabbat..

Teri mohabbat main dil ne dastur sa bna liya…..
Jab bhi koi dard hua dil ko bus teri yad aayi….
Jab bhi mere ankhen royi dil main teri tasveer bni…
Jab bhi bahein falaye dil ko tera ehsash hua…
Ye dil ka dastur hi to hai ki har saans m naam tera hi aata hai….
Khwab bhi tujhe bnaya taqdeer bhi tujhe …
Marz bhi tu meri har jakhm ka dwa bhi tu….
Mera to dost bhi tu sathi bhi tu or mera humsafar bhi tu…
Zindagi k jis bhi raah pe chlon har raah ki mazjil bhi tu…
Hothon pe jab bhi jikar aaye tera hi aaye….
Hmari to hothon ki muskurahat bhi tu …..
Aankhon chhipi dard kitni bhi gahri ho par tujhe dekh jo sukun aaye wo aarzoo bhi tu….

Kaise samjhaun tujhe

Ab tu hi jaan hai meri ye kaise samjhaon tujhe….
Ab tu hi dharkan meri kaise bataon tujhe…
Tujhse jor liya dil ki chahat sabhi ab kaise kahun tujhe…..
Meri aankhon m sirf tere sapne kaise dikhaon tujhe….
Teri sanson ki mahak ne chhu jo liya mujhe ab ruh tk utra hai tu kaise sambhalon isse…..Waqt jo tere bin gujar rhe hain mere ye dard ki khllish kaise samjhaon tujhe….
Har raat k dard ka fashana kaise bataon tujhe…..
Tere pyar k rang m kis kadar rang chuki ye kaise samjhaon tujhe….
Tere ek ishare p duniya to kya ye jhan chor doon…
Apni sanson ki har taar me awaz doon tujhe…